Monday, July 8, 2013

SOME VIEWS ABOUT HSTSB COURT CASE

THIS VIEWS ARE FROM MY FB FRIEND SATISH JI  FROM JIND
Friends, HSTSB k Case k bare me apne views share kar raha hun. Note:- Mere views ko Judgement n samajhe, Judgement to High Court dega or vo bhi Janhit me aisa mera vishvash hai Court par.
 Sarkar k strong Point:- 1. Indian Constitution k anusar ko Rules banane ki Power hai. 2. Sarkar ne Board banane k liye pahle Rule banaya hai. 3. Board ka gathan ek process k tahat kiya gaya hai. 4. Board Gathan Feb 2012 me hua tha lekin Bansal ne writ nhi dali, point to be noted. 5. PGT ki Advertisement 07-6-2012 ko nikali lekin Bansal ne writ nhi dali, point to be noted. 6. PGT k interview 24-7-2012 ko start hue lekin Bansal ne
writ nhi dali, point to be noted. 7. PRT ki Advertisement 08-11-2012 ko hue lekin Bansal ne writ nhi dali, point to be noted. 8. PGT ka pahla result Mewat Cadre 28-2-2013 ko publish hua lekin Bansal ne writ nhi dali, point to be noted. 9. PGT ka dusara result Haryana Cadre 11-3-2013 ko publish hua lekin Bansal ne writ nhi dali, point to be noted. 10. Yah Political bhi nhi lagata kyon ki Choutala Sahab ko 16-1-2013 ko hirasat me liya tha or 22-1-2013 ko Judgement diya tha CBI Court ne. 11. Jaise hi History or Political Science PGT ka result publish hua 10-4-2013 ko, agale hi din Bansal ne writ dal di jis ka sida matlab hai ki Bansal ka History ya Pol. Science me selection nhi hua. Writ dalana Bansal ka adhikar hai. 12. Bansal wali writ se pahle bhi 2 Case hain HSTSB k khilaf jo 2012 me hi dal diye the. 13. Pahle wale 2 Case or Bansal k Case me sabhi point same hain ek ko chhod kar. Bansal ka ek point extra yah hai ki Constitution k Bhag 14 k anusar sari bharti Public Service Commission karega, esi point ki vajah se result par stay laga hai lekin Haryana me Class 3 ki bharti Haryana Staff Selection Commission karta hai or Class 4 k liye alag se Board hai. Sarkar ka Kamjor point:- Sarkar ka kamjor point ek hi hai ki Chairman ki Age 72 years Rule me kar di jab ki baki k Rules me Shayad 66 years hi hai or Chairman par PTI bharti me already allegation lag chuke hain. Rule me Chairman ki age 72 years karna yah sabit karta hai ki Sarkar ne pahle se hi Nirdharit kar liya tha ki Chairman kise banana hai. Judgement ki sambhavna:- Court Order kar sakta hai ki Chairman ko hataya jaye or jo 4 Member hain unme se Chairman niyukat kiya jaye ya nae sire se Chairman ka selection kar k result publish kiye jayen. Court ka jo Judgement aayega vah Janhit me hi aayega aisa mera vishvash hai Court par. Published result k bare me:- Jaisa ki ham sab ne News Papers me pada hai ki remaining result par rok jiska sida maltab hai ki published result par koe stay nhi hai, vaise bhi Sochane ki bat hai ki agar published result par stay hota to DSE n to verification karvata or n hi Mewat Cadre ko Satation allot karta. PGT Political Science par Case:- PGT Political par tin candidates ne writ dali hai or tino hi writ Advocate Ashok Bhardwaj ne dali hain or 10-5-1991 k Supreme Court k Judgement or 2010 k High Court Chandigarh k Judgement ko aadhar banaya hai. Tino writs ki pahli date 1 July lagi thi or ab 5 August lagi hai, lekin abhi tak Notice issue nhi hue hain. Es bare comment karunga to log galat matab nikal sakte hai. CWP No. hain 11736/2013, 12812/2013 & 12885/2013. Case me dam hai aisa mujhe lagata hai. Writ meri Facebook par post kar di hai, photos me mil jayegi, pad sakte ho. Es writ ka asar sirf PGT Pol. Science par padega. Asar ye ho sakta hai ki PTI ki tarah Court dobare selection List banane ko bol de HSTSB ko, jis se Meritorious candidates ko fayda ho sakta hai, jinka selection nhi hua hai or un candidates ko nukshan ho sakta hai jin ko interview me adhik marks dekar selection kiya hai. Jin Subjects me post khali rah gayi hain un par koe writ dakne ki koe sambhavna nhi hai. Best wishes:- My best wishes to all the selected candidates & all those candidates who are waiting for selection in remaining results. Jai Hind.

1 comment:

  1. please tell if u know when the hon'ble court is going to declare our results.. please tell the possible dates...

    ReplyDelete