Friday, February 7, 2014

RTI ACT 2005:SOME IMPORTANT DHARA


Friends, RTI Act 2005 k bare me jan lete hain.

Ham ko Main Section/Dhara k bare me janana jaruri hai.

Dhara 2 :- Es me bataya gaya hai ki Suchana kise kahate hain.

Dhara 3 :- Koe bhi Bharat ka Nagrik kisi bhi Sarkari Karyalay me Aavedan kar sakta hai.

Dhara 4 (1) (B) :- Jo Suchana deni jaruri hain.

Dhara 4 (1) (D) :- Parbhavit banda karan (reasons) puchh sakta hai.

Dhara 6 (1) :- Hindi, English ya vahan ki Local Bhasha me apply kar sakte hain.



Dhara 6 (2) :- Authority RTI lagane wale se koe Sawal nhi puchh sakti, jaise ki RTI kyon lagayi, kya karoge, kya kam karate ho ?

Dhara 6 (3) :- Agar aap ne galati se us office me RTI laga di jis me magi gayi Suchana nhi hai lekin usi office k adhin dusare office me hai to es Dhara k tahat SPIO apne aap RTI ko sambandhit office ko bhej dega.

Dhara 7 (1) :- 30 Dino me mangi gayi Suchana deni chahiye ya fir Dhara 8 & 9 k tahat RTI ki application ko reject karana chahiye.

Dhara 7 (2) :- RTI ki application receive karane k 30 Dino k andar agar SPIO koe bhi jabab nehi deta hai to yah maan liya jata hai ki Suchana dene se mana kar diya hai.

Dhara 7 (6) :- Agar 30 dino k anadar n to Suchana de or n hi 2 Rupaye copy k hisab se Paise mange to bad me mangi gayi sari Suchana Free me deni padegi.

Dhara 8 :- Kin-kin karano ka hawala de kar RTI ki application reject ki ja sakti hai.

Dhara 19 (1) :- SPIO dawara Suchana nhi dne par, adhuri Suchane dene par ya Suchana dene se mana karane par 30 Dino k andhar First Appeal dalani hai ya bhejani hai.

Dhara 19 (6) :- First Appeal ka niptara 30 dino me karana chahiye, adhik se adhik 45 din laga sakata hai First Appeal Adhikari lekin us k liye karan likhana padega ki 15 din extra kyon lage.

Dhara 19 (3) :- First Appeal se bhi Suchana nhi milane par, First Appeal reject hone par ya total 45 dino me First Appeal ka niptara nhi hone par, 90 Dino k andar 3 copies me Second Appeal State Information Commission Haryana, S.C.O. 70-71, Madhya Marg, Sector-8 C, Chandigarh ko bhejani hai.

Dhara 19 (8) (B) :- SPIO par lagaya gaya Jurmana RTI lagane wale ko Harjane k rup me milana chahiye.

Dhara 20 (1) :- SPIO par 250 Rupaye par Day and adhik se adhik 25000 Rupaye Jurmana lagane ka Adhikar SIC ko hai.

Dhara 20 (2) :- SPIO k khilaf Rules k anusar Parshasnik karyvahi ki sifaris SIC kar sakta hai.

Shuru me Fee k liye Rs 50/- ka IPO bhejana hai.

First Appeal & Second Appeal ki koe Fee nhi lagati.

Note :- RTI par High Court Chandigarh ka Judgment CWP No. 20566 of 2008, SBI V/s CIC jarur paden.

1 comment:

  1. add some important dharaye...which are important for the purpose of exams like ssc,railway.......

    ReplyDelete